Monday, April 11, 2011

Tujhe paane ki naakam koshish karta hu


Har baar main yahi galti karta hu,
tumhe paane ki naakam koshish karta hu;

Baithe baithe yu hi dhup me pata na chala kab shaam ho gai,
Subeh se shaam tak, ye chidiyo ki chehchahahat aam ho gai,
Galti thi meri main kubool karta hu,
Tere aane ka intzar ab bhi jaroor karta hu,

Kya karu, tujhe pane ki naakaam koshish karta hu;

Ummeedo ki binah par ye jeevan chalta rahega,
Har shaam chadta hua suraj yu hi dhalta rahega,
Fool khilne ke baad murjhane ki jab ghadi aayegi,
kasam se tumhari yaad badi aayegi,
Khushfehmiyon ki basti me ab roj marta hu,
apne nakaratmak vicharo se har din ladta hu,

Har baar main yahi galti karta hu,
Kya karu, tujhe pane ki naakaam koshish karta hu...

:) :) :) :)